Mera tan
Mera man
Mera dhan
Mere lahu ka har katra
Mere shareer ka kan kan
Maan tumko arpan.....
Sochta hun is_se jyada
Badhkar desh mere,
Tujhko main kuch or doon....
Anil Aarya....
मेरा ये ब्लॉग मेरे मन के कोमल उद्गारों से विरचित है , आप सब इस पर सादर आमंत्रित हैं , अगर कोई सलाह देना चाहें तो कृतार्थ करें , आपका साथी अनिल आर्य...
Sunday, 26 January 2014
Maa
Saturday, 25 January 2014
Jai bharti
Utho badho
Mere
Shero
Ye matribhumi
Tumhe
Pukarti
Jai bhaarti jai bhaarti...
Desh dharm hai
Prem karm
Ye rahasya marm
Nav - parivartan
Ki bela aaj
Pukarti
Jai bhaarti jai bhaarti...
Todo puratan
Sab bandhan
Apna lo nav parivartan,
Jativaad ko tod kar
Sankeernta se mukh mod kar
Majhabon ki ladai chodkar
Manavata ki utaro
Aarti
Jai bhaarti jai bhaarti....
Apne man ko
Unmukt karlo
Sawatantra ki
udanen Bharlo,
Kuch to apne dil se karlo
Dimag ko thoda taak pe dharlo
Apne is laghutam jeevan ko
Saarthak karlo, saarthak karlo
Bhagat singh, Or Shekhar ki
Kurbani tumhe
Pukarti
Jai bhaarti jai bhaarti....
Anil Aarya....
Friday, 24 January 2014
Khudho bhool aaya hun
Main gaya tha
Ekbaar
Wahin
AASMAAN par,
Jahan
Apni zamin ko
Bhool aaya hoon,
Wahan door
Panchiyon ke ghoslon main
Apni udaanen
Bhool aaya
Hoon....
Us tere
Ek pal ke ehsaas
Main,
Main
Jamane
bhool aaya hoon,
Tarane
Bhool aaya hoon,
Dil bahalaane
Ke saare
Bahane
Bhool aaya hoon....
Tere ishq main
E mere khuda
Khoya hun is kadar,
Na khud ko
Dhundh paya hun,
Na tumko
Bhool paya hun....
Anil Aarya....
Zindgi kho gayi hai....
Mujhe katl kardo
Kafir na kaho tum,
Tumse bichud ke
Waise bhi ab
Zinda nahi hun....
Jee to raha hun
Par zinda nahi hun,
Bhaagdaud main
Jindgi kho si gayi hai,
Jo thi
kabhi apne se badhkar
Wo jaan ab
Parayi ho si
Gayi hai.....
Dunia khokar
Paya tha tumhe,
Tumhe khokar
Paane ko kuch bhi
Nahi hai....
Maut khoobsurat
Jo tu aaye mere janaje
Tere bin zindgi
Ki keemat
Kuch bhi nahi hai....
Mujhe katl kardo,
Kafir na kaho tum.....
Anil Aarya....
Monday, 20 January 2014
Andar kahin....
Meri gahrai
Main kahin.....
Tera veeran sa ishq
Hai kuch......
Kuch kuchale hue
Dosti ke
Gharonde se hain.....
Jinki na to yaaden
Jaagti hain kabhi.....
Na to kabhi baaten
Badalti hain
Karvaten hi.....
KYA IN SABKE LIYE
JINDA HONA JARURI HAI ???
Agar haan to jaan lo
Ab talak saath nahi choda hai
Is kaafir badan ne....
BAS ZISM SE ROOH
NIKALNE SE HI
KOI MARTA HAI KYA????
Saans ka rukna bhi
To jaruri hai,
Koi to batao
Bas dil ke thamne se hi
Koi marta hai kya ???'
Agar haan
To fir kyun main zinda hun
Ab talak ?
Kya meri maut bhi
Ab meri na rahi ???
YA TO RACH RAHI HAI
WO BHI KOI SAAJISH
MERE HABIBON KI TARAH....
Anil Aarya....
Uljhan
Ajeeb kashmakash main hai
jindgi
Na jeena
Na marna mumkin hai
Jindgi
Bewafai karti hai
Maut
daga de jati hai
Jis shay main pata hun
Do pal ka sukun
Wo
Umar bhar ki saja de jati hai
Ek wafa ka amrit
Jis bin
Jeena mushkil hai
Ek bewafai ka jahar hai
Jo peena mushkil hai
Ajeeb kashmakash
Main hai jindgi
Ab marna mushkil hai
Ab jeena mushkil hai....
Akelapan
Mera mukkadar
Mujhe har roj
Beemar
Bana raha hai
Koi to bata de
Mere dard ki dawa kya hai ?
Kya meri galti ?
Meri saja kya hai ?
Agar ye galati pyar
Na hogi dobara
Gar hai dosti
To paun chutkara
Jakhm mile hain gahre
Inhe bharna
Inhe seena mushkil hai
Ajeeb uljhan main hoon yaaro
Mera marna
Mera jeena mushkil hai....
Anil Aarya.....