Ajeeb kashmakash main hai
jindgi
Na jeena
Na marna mumkin hai
Jindgi
Bewafai karti hai
Maut
daga de jati hai
Jis shay main pata hun
Do pal ka sukun
Wo
Umar bhar ki saja de jati hai
Ek wafa ka amrit
Jis bin
Jeena mushkil hai
Ek bewafai ka jahar hai
Jo peena mushkil hai
Ajeeb kashmakash
Main hai jindgi
Ab marna mushkil hai
Ab jeena mushkil hai....
Akelapan
Mera mukkadar
Mujhe har roj
Beemar
Bana raha hai
Koi to bata de
Mere dard ki dawa kya hai ?
Kya meri galti ?
Meri saja kya hai ?
Agar ye galati pyar
Na hogi dobara
Gar hai dosti
To paun chutkara
Jakhm mile hain gahre
Inhe bharna
Inhe seena mushkil hai
Ajeeb uljhan main hoon yaaro
Mera marna
Mera jeena mushkil hai....
Anil Aarya.....
No comments:
Post a Comment