Friday, 28 February 2014

Vairagi

Main vairagi
Veetragi
Jamane ke sab bandhan
Tod aaya hun,
Main apna
Sara jahaan
Peeche chhod aaya hun...

Na koi dukh
Na pachtava koi
Koi moh maya nahi
Na bhulava koi
Jamane se muh mod aaya hun,
Main vairagi....

Teri bhakti
Meri shakti
Teri chahat
Meri mohabbat
Ye sab dunia walon se main
Bol aaya hun,
Main vairagi.....

Aaj imtihaan ki ghadi hai
Mujhko jamane ki padi hai
Ek cheej sab se badi hai
Us ki khaatir
Sab cheejon ko
Chhod aaya hun,
Main vairagi....

Mere antahkaran se pucho
Isme aaj ujala bahut hai
Jamane ki parwah karta hun
Isne mujhe sambhala bahut hai
Isi ki samriddhi ki khaatir
Khud se nata tod aaya hun,
Main vairagi.....

Vairagi....

Thursday, 27 February 2014

Kahin door...

Jee karta hai
Aaj aazaadi, Pa Jane ko,
Tod deh-dhara ke bandhan
Panchtatva mil Jane ko....

Jee karta hai
Chhod sabhi ko
Chal nikalun,
Dam ghut_ta hai is dunia,
Main aaj
Abhi
Is pal nikalun....

Pahunch jaun us jagah
Jahaan meri reet sahi hogi,
Toot jaye chahe khud koi
Dil todne ki reet nahi hogi....

Jamaane walo aao
Apna zor aajmaa lo
Kal mat kahna main hara tha
Apni fauj bula lo....

Ab jana hai door kahin
Is durgam paaraawaar se,
Prabhu jo tum ho, shakti do,
Nikal paaun
moh maya ke vyaapaar se....

Aaj kahin door jana chahta hun,
Apna bhaagya
Fir se aajmana chahta hun.....
Dunia ke bandhan se
Paar pana chahta hun.......
Mujhe na roko
Jamane walo, main bhi
Muskurana chahta hun.....

Anil Aarya...

Destiny

My destiny
Makes me run
Around and around,
Every time
I found a new plot
A new Ground....
A new ground
Without boundary,
Without any sound.....
I make Noises
Carries myself
Like a hound....
Run here and there
But
Nothing to found.....
Nothing to found.......
My destiny
Makes me run
Around and around.....

Anil Aarya...

Wednesday, 26 February 2014

Dil

Dil
Jab toot_ta hai
Dard
bahut hota hai
Or
Aawaj
Jara si bhi nahi...

Ae mere khuda
Ye kaise
dard ka aagaaj hai
Hai beintihaan dard
Nahi hoton pe aawaj hai....
Ankhen sunsaan
Dil veeraan
Kaisa ye imtihaan hai....

Itnaaaaaa dard..........
Bada bedard,
Tu mere khuda......
Kam se kam
Bata gunaah.....
Ek kaam kar
Ya to mujhe maar de,
Ya fir aane de pralaya
Mera dard
Ankhon main utaar de........
Bahut dinon se soya
Nahi hun main,
Ghut ghut Mara hun
Khulkar roya nahi hun main....

Anil Aarya...

Dosti....

Bahut kuch samjha
To jaan paya
Ki aakhir kya hai
Ye Dosti,
Toota
Chot khayi
To paya ki kya hai
Ye Dosti....
Aaj ke samaaj main
Agar sache dil se karo
To ek gunaah Hai
Ye Dosti....
Ek insaan ka tootna
To Tay hi samjho
Kyunki
Aajkal dil todti hai
Dosti...
Jarurat ke waqt
Muh modti hai
Dosti....
Are ye to pyar se bhi
Badtar koi cheej hai,
Kyunki
Adhmara kar ke
Marne ko
Chhoddtee hai
Dosti....
Ab to mere dosto
Kya kahun
Mera sabse bada khuda
Or mera sabse bada gunaah
Ek sath hai
Dosti....

Aaj ke samay
Pyar - dosti
RED DATA BOOK
Main darj karne laayak
Bachi hai,
Khair bachi hai,
Mujhe khushi hai...
Zinda rahunga jab tak
Zinda rakhunga ye
Dosti...

Chalo jo bhi ho
Meri jaan
Mai shaan
Mera imaan
Meri pahchaan
Mera jahaan hai
Meri dosti....
Agar ki hai to nibhayenge
Jo pyar mila hai
Uska karj chukayenge...
Are jaan hai tere liye
Jaan tujhe de jaayenge...
Beta yaad karoge
Koi tha
Hamsa
Jamaane main,
Haan aage se hum bhi
Hichkichayenge
Dil lagaane main....
Bahut kuch samjha
To jaan paya
Ki aakhir kya hai
Ye Dosti,
Toota
Chot khayi
To paya ki kya hai
Ye Dosti....

  Anil aarya...

Tuesday, 25 February 2014

Tum

Bas tum hi ho
Haan tum hi ho
Tum jaisi
To tum hi ho ek
Tumse badhkar
Koi nahi hai,
Jamane main tumsa
Haan Koi nahi hai....

Tum hi ho
Bas tum hi ho...

Teri bahen
Jannat meri
Inse badhkar
Sare jahaan main
Kuch bhi nahi hai...
Tum hi ho
Bas tum hi ho...
Tumse badhkar
Tum bhi nahi ho....

Teri mohabbat
Meri ibadat,
Teri ankhen
Meri haqikat
Is se jyaada
Koi haqikat nahi hai
Tum hi ho
Haan tum hi ho,
Jamane main tumsa
koi nahi hai,
Tumse badhkar
tum hi to ho bas...

Teri chaahat
Main jinda hain
Ab tak,
Is se jyaada
Koi
Chahat nahi hai
Teri baaton Main
kat_ti hain raaten,
Kaise kah dun
Tum se mohabbat
Nahi hai....
Mere man main
Ek chota sa mandir,
Kaise kah dun
Usme tumhari
Moorat nahi hai...
Ek tum hi to ho bas
Haan tum hi to ho ek,
Tum jaisa jamane
Main koi nahi hai....

Teri soorat
Dil main basi hai
Sanson main mahakti
Hai khushbu teri,
Jeeta hun jab tak
Tu mujh main
Hai zinda,
Tum se alag koi
Jeena nahi hai....
Tum hi ho bas
Dhadhkan meri,
Dhadakti ho jab tak
Main jeeta rahunga,
Tumhe pana
Manzil meri,
Tumhe paane ko
Main marta rahunga,
Tum hi to ho.....

ANIL AARYA...

Sunday, 23 February 2014

Umeed ki lau..

Umeed
ki ek lau hai,
Or toofan
Ka silsila hai,
Baarish
ka andesha
Or kadaake
Ki sardi hai...

Timtimati
Si aasha hai
Or ek main bhi hoon
Jo khud se kho gaya hoon
Door kahin andhad main
Khule aasmaan tale
Chalaa ja raha hun
Khud ko paane,
Rait ke is veerane...

Is ghanghor
Andhere
Ek halki si
Umeed ki lau hai
Ki ya to
Pa jaaunga
Khud ko
Ya kho dunga
Jamana....
Apna to kaam hai
Kismat
Aajmana....
Bas umeed ki ek lau hai,
Jo lad jayegi
Tofanon se
Or bata degi jamane ko
Ki kafi hai ek chingari
Jamana jalane ke liye.....

Anil Aarya...

Saturday, 22 February 2014

Chahat

Jo main jeetun
Ye jamana
Tum kya doge...
Mera kaam hai
Kismat aajmana
Tum kya doge...

Main badal dun
Waqt ki raftaar
To tum kya doge,
Badal dun
Jamane ke
Sade gale
Vichar,
To tum kya doge...

Main ladne ko
Aatur hun
Bhukhe sheron se,
Maut ka
Karne nikalun shikar
Bataao kya doge,
Main jeetunga
Har baar
Par tum
Kya doge....

Anil Aarya...

Kavita kya hai...

Ek din yun hi
Puchh liya kisi ne
Shabdon ke vyapaar main,
Kavita kya hai ???
Kyun bikti hai bazaar main ???

To main bola

Dil ki aag se
Nikalta dhuaan
Hai kavita,
Ek khoobsoorat sa
Pahlu anchhua
Hai kavita....

Kavita man ki pyas hai
Kavita ek nayi
Aas hai,
Kavita ek atoot
Vishvas hai,
Kavita kuch khaas
Ehsaas hai....

Or suno

Kavita bikti nahi

Anmol bhaavon
Ka bhaav
Kya koi laga payega !!!
Jo kharidane ayega
Wo khud hi bik jayega....

Wo to hum Kaviyon ka
Dil hota bada udaar hai,
Jinke dil nahi
Madhurtam sarita,
Kavita unhe
Uphaar hai....

Akhil vishva
Padhe kavita,
Nikhil jagat bahe
Sahitya sarita,
Karunamay hon
Anant apaar
Sukhmay ho
Saara sansaar.....
Kavita jagti ko
Hai Uphaar...
Anil Aarya ke yahi vichar..

Anil Aarya...

Friday, 21 February 2014

Ishq

Jamane se
Ishq sa ho gaya
Hai
Tabhi jinda hun
Varan
Jeene ke layak
Ye jamana
Nahi hai.....

Anil Aarya...

The work to do

Tumhe
Patjhadon
Se ladkar
Abhi
Madhumas
Badalna hai,

Dhara ke
Kone - kone
Ka
Itihas
Badalna hai....        
                    Garima Arya....

Yun to
Itihas
Khud ko
Dohrata aaya
Hai,
Jab jab
Pada
Patjhadon
Se pala
Tab tab
In darakhaton ka
Madhumas
Laut ke aaya hai....

Or fir
Aarya to diwana
Thahra
Isne
Kab apna daaman
Kaanton
Se bachaya hai...

Bairaagi
Kya
Apna
Kya
Paraya
Kya
Khoya
Kya
Paya,
Are vaar
De jamane pe
Jaan,
Sab moh maya hai....

Anil Aarya...

Thursday, 20 February 2014

Charitra

Insaan
Kitna vahashi ????
Nahi jaanta khuda bhi....
Agar jaanta
To kyun banata
Insaan ?????

Insaan
Insaniyat
Charitra
Naitikata
Bade ache labja hain
Milte hain shabdakosh main
Suvyvasthit...

Kya samay badal gaya ???
Itna ???
Kya insaan ka charitra
Vahashi ho gaya hai ???
To main chahunga
Ab log mujhe jaanvar kahen...
Kyun ki uska
Kam se kam
Koi charitra to nahi....

Anil Aarya....

Rishte...

Rishte
kabhi taar-taar
Rishte,
Kabhi
Yadgaar rishte...
Kabhi poora
Sansar rishte,
Kabhi adhoora
Pyar rishte....
Kabhi beech baajar
Rishte,
Kabhi vyapaar
Riste....
Dekh sakte ho aaj
Har nukkad
Gali
Chauraahe
Hote hue tum
Jaar-jaar
Rishte,
Kho se gaye hain
Aaj
Yadgaar rishte....

Anil Aarya....

Sunday, 16 February 2014

Kal tak...

Ki kal hi jisne
Kiya tha
ikraar-e-Mohabbat
Aaj wo shaksh
Mujhe vajah bata
Raha hai....

Mera dil kitna nakabil
Teri kahani likhi
Ishq ki kitaab main kal
Aaj uska
Ek ek panna
Apne dil ki aag main
Jala raha hai....

Fir bhi fakra tumpar
Shikayat nahi hai
Ki is aag main taapkar
Tu sone ko or
Or kharaa bana raha hai....

Pahchan ka sankat
Utpann nikhil jagat main
Aise main tu
Mujhe khud se
Rubru kara raha hai,
Maut sachi hai
Ek din aani hai,
Tu mujhe us ke intjaar main
Jeena sikha raha hai....

Anil Aarya

Monday, 10 February 2014

Jane kyun

Jane kyun aksar
Jaagte hue sapne dekha
Karta hun,
Tumhe
Haan bas tumhe hi
Socha karta hun
Jane kyun....

Teri yaaden basti hain
Meri dhadhkanon
main kahin
Jane kyun,
Jane kyun
Har pal tumhe
Bas tumhe chaha
karta hun....

Teri baatain jadu
Teri mahak khushbu
Mehsoos karta hun
Jane kyun,
Jane kyun
Sare jag se
samajhdaar Main
Pagla sa jaata hun
Tere pyar main...

Jane kyun
Mujhe pata hai sab
Or sab bhool jaata hun
Main tere pyar main....
Jane kyun
Sab ko
Yahaan tak ki khud ko
Bhool jaata hun
Main tere pyar main....

Pata hai JALIM
Tu meri maut se kam nahi,
Jane kyun
Fir maut ko gale
Lagata hun
main tere pyar main.....

Anil Aarya......

Monday, 3 February 2014

कुछ तो कह दो

किसी एक चाँद से नहीं
सभी सितारों से कह दो
फिजा के रंगों में बिखरे
नज़ारों से कह दो
अरे डरता नहीं हूँ
सितमगारों से कह दो
हूँ मैं बेख़ौफ़ परिंदा
उन पिंजरों के ख़रीदारों


से कह दो
बदल लें
हाँ बदल लें
अपनी आदत
हुस्न वालों से कह दो
मैं चाहूँ रूहानी इश्क़
जिस्म वालों से कह दो
मैं कद्रदान रूह का
क़द्रदानों  से कह दो
हूँ परवाना
जला पाओगे न तुम
अपनी लौ को आजमाले
इस आग़ से कह दो

कुछ तो तुम भी
लोक-लाज से कह दो
मेरे खुदा ख़ूब
बदनाम हो जाओगे
जो चुप्पी पे देदी जाँ मैने
चलो छोड़ो पीछे कि बातें
कुछ आज से कह दो


                    अनिल आर्य ....... 

Dil ka pinjra...

Dil ka pinjra
Khol ke
Panchi ko
Ud jane de,
Kaidi ye kis kaam ka
Pyaar to hai bas naam ka
Ye jeevan nahi hai kaam ka,
Mujhko tu mar jane de...
Panchi ko ud jane de,
Dil ka pinjra khol ke....
Tu panchi ko ud jane de....

Apna jahaan ko maan le
Jeevan ko pahchan le
Tu rishton ko sammaan de
Gadh koi naya vidhaan de
Sachaai ko meethe bol de,
Kisi ke sune jeevan main
Tu mishri si ek ghol de,
Dil ka pinjra khol ke
Panchi ko ud jane de....
Apne ko nayi pankhen de,
Jeevan ko nayi udaanen de.
Tu dil ka pinjra khol ke
Panchi ko ud jane de......

                 AnilAarya...........

Saturday, 1 February 2014

मैं सत्य बुनता हूँ…

गहरी सर्द काली रातों में
सब सोते हैं,
मैं जगता हूँ,
मैं सत्य बुनता हूँ…

अचिन्त्य नश्वर प्राणमय
जगत् में
मैं निगूढ़ प्रगाढ़
शाश्वत सत्य चुनता हूँ,
मैं सत्य बुनता हूँ…

अपनी चिन्ता में निमग्न
सत्य-विरत
जगत् रोता है
मैं हंसी चुनता हूँ,
नित्य नया सत्य बुनता हूँ....

     अनिल आर्य … 

Main muskurata nahi...

Sardi main
kisi garib ke tambu se
aag taapna kisi ka,
Mujhe
mere shamiyane ki
yaad kyun dilata nahi....

BAIRAGI
bharosa kisi ka
jeet Kar Jo khele koi,
mujhe mere jamane ki
yaad kyun dilata nahi.....

Shyad yahi vajah hai jo
Sabke beech main
Main rota nahi
Akele main
Muskurata nahi...

Sabko hansaana
Chaahon
Unka gum churaana
Chahhon
Apna chupaana
Chahoon
Kai baar lekin main
Ye kar pata nahi
Main muskurata nahi..

Dil se khelna...

Aaj ki baat suno
Raaj ki baat suno
Bachpan main usey kaha tha ye
Khel koi khelo agar dil se khela karo
Bada
Khel usne khela tha fir
Or
Dil se hi khela tha wo...

                    Anil Aarya...

Janavar

Are insaan tu jaanwar kyun ho raha hai...

Ye Jo gir rahi hain bunden, baarish na samajh,

Tera bana_ne wala, apni nadani pe ro raha hai...

              Anil Aarya.....

Tera chehra....

Koi Hans ke,
koi hansa ke toot gaya
Koi ro ke
aansu baha ke toot gaya,

itne chahre they
Uske chahre pe Anil
Aaina tadap ke
tang aa ke toot gaya...

Pahchan to gaye they
Pahli najar main hum,
Wo shaksh kuch khaas tha,
Vishwas ko loot gaya....

Yaad aa gaya....

Mujhe tera ishq nibhana yaad aa gaya,
Mere jajjbaaton ki hansi udana yaad aa gaya,
Galti aakhir meri thi Jo kiya nahi vichaar
Ho gaya atyachar re baba ho gaya atyachar...

Toota tha jo khawab purana yaad aa gaya,
Tera kiya har sitam purana yaad aa gaya,
Tera purana naya bahana yaad aa gaya,
Galti aakhir meri hi thi kiya jo sacha pyar,
Ho gaya atyachar te ha baba ho gaya atyachar....
                Anil Aarya....