Tum suraj ki arunayi
Main tumse door
Jal par kreeda karti
Matra teri parchayi....
Teri parchayi ko
Tadapte dekh
Jamana Anand pata hai,
Par tujhko kab ye
Bhaata hai....
Tera kaam
Khud jal kar
Jagti roshan karna,
Kaise ye sab
mujh bin
Tu kar payega ???
Teri kiran bankar
Tera ujala sab tak
Mitra tera pahunchayega,
Waise bhi
Hum donon ka
Kaam hai chalte rahna,
Sab sahna,
Kuch na kahna,
Bas dena,
Kuch na lena....
Isi main khush rahna....
Jab tak
Tujhmen aag hai
Tera astitva rahega,
Teri kiran bankar,
Tera shasvat dost
Tere sang sang bahega....
Or haan
Mere bin tera astitva to hoga
Par pehchaan, teri main hun,
Jindgi teri jwala,
shaan teri main hun,
Or main
Mera to vajood
Tumse hai,
Tumhari har aah
Se main tadap jata hun,
Tu baichain hota hai,
Main tabahi barpata hun,
Tu suraj
Tera ehsaas main hun,
Sab tumse door,
Tere paas main hun...
Anil Aarya...