Pyar
Is labja ka artha
Bahut gahrai main paya
Or jana
Ki bas chahna
Or chahte jana
Uski yadoon main khona
Or khoye rahna
Usko paane ko tadapna
Usko kuch bhi na kahna
Fir bas tadapte rahna
Uske saath samay bitana
Or baki sabbbbb bhool jana
Bas ye hi to pyar nahi....
Uski khushi
Uske ehsaas
Uska har sapna
Uski pasand
Uske armaan
Uske jajbaat
Uska dil
Uska pyar
Agar in sab ki
hai parvaah
Hai koi ijjat
To ye hai pyar....
Or is sab ko samajana
Or fir
Ye kahana ki haan
Hai tumse pyar ab bhi,
Or haan
Pata hai jeena hai
Tere bina,
Tere bina bhi
tu sath hai mere
Mujhme kahin,
Jo kafi hai
Mere vajood ke liye,
To ye pyar hai....
Ye chun_na
Ki kisi ke sath rah kar
Us se door rahna,
Ya to us se door rah kar
Usko khud main
Zinda rakhna,
Kya jaruri hai
Mere liye ?
Uski khushi ke liye
Apne vajood ko
Thukra dena,
Yahi to pyar hai....
Jahaan tak jaan paya
Bataya ki
Bas yahi to pyar hai,
Or jaan jaaunga
Jeevan ke safar main,
Ki pyar kya hai ????
Haan pyar haarta nahi
Rota nahi
Jhukta nahi
Toot_ta bhi nahi
Chutata bhi nahi
Bhoolta nahi
Badalta nahi
Haan pyar miltaa bhi nahi...
Par saala khushi
Bahut deta hai....
AGAR PYAR SACHA HO
TO KABHI DARD DETA NAHI...
PYAR HAI EK ONE WAY ROUTE
JO BAS DETA HAI, KUCH LETA NAHI...
Anil Aarya...
No comments:
Post a Comment