Kisi udhed-bun main
Cycle par chala ja raha tha
Or road par ladti hui
Do gaayon ke bade bade seengo
Se jab baal baal bacha
To unaayaas hi yaad aaya
Ki tu abhi zinda hai
Nahi pata kahaan
Kis haal main
Par tu zinda hai
Or aaj fir se
tune varta rakha hai
Tabhi main salaamat hun
Or soch raha hun
Ki tu shaayad zinda hai
Ya to baahar kahin
Ya fir mere zehan main
Hai zarur tera vajood...
Anil Aarya....
No comments:
Post a Comment