Saturday, 12 October 2013

PREM ka LOH STAMBH

Aaj jab sochta hun
Kya kamaya
Pata hun
Dukh
Takleef
Krodh
Nafrat
Jung ka mahaul
Or wo sab
Jis se karta hun nafrat....
Is sab main kahan hai
Wo PREM
Jiski amaanat mili hai mujhe
Jo basa hai mere lahu main
Jo bahta hai rag-rag
Jis_se jindgi mili hai mujhe...
Rakhna hoga jinda usey
Ek chingari ban Kar
Ki Jo chingariaan ban jaayen
Or veeraaniyon ke shoolon
Main dhal Kar
Jala Kar nafraton ko
Us khaak se taiyaar Karen wo jameen
Ki lahlahaaye ye sayamlaa
Fir ek baar
Fir ek baar
aman ki saans le
Ye Hindustan
Or main, main na rahun
Ban Jaun PREM ka
Wo LOH STAMBH
ki jise Jung na lage....

                     Anil Aarya...

No comments:

Post a Comment