Saturday, 1 February 2014

Main muskurata nahi...

Sardi main
kisi garib ke tambu se
aag taapna kisi ka,
Mujhe
mere shamiyane ki
yaad kyun dilata nahi....

BAIRAGI
bharosa kisi ka
jeet Kar Jo khele koi,
mujhe mere jamane ki
yaad kyun dilata nahi.....

Shyad yahi vajah hai jo
Sabke beech main
Main rota nahi
Akele main
Muskurata nahi...

Sabko hansaana
Chaahon
Unka gum churaana
Chahhon
Apna chupaana
Chahoon
Kai baar lekin main
Ye kar pata nahi
Main muskurata nahi..

No comments:

Post a Comment