Friday, 21 February 2014

The work to do

Tumhe
Patjhadon
Se ladkar
Abhi
Madhumas
Badalna hai,

Dhara ke
Kone - kone
Ka
Itihas
Badalna hai....        
                    Garima Arya....

Yun to
Itihas
Khud ko
Dohrata aaya
Hai,
Jab jab
Pada
Patjhadon
Se pala
Tab tab
In darakhaton ka
Madhumas
Laut ke aaya hai....

Or fir
Aarya to diwana
Thahra
Isne
Kab apna daaman
Kaanton
Se bachaya hai...

Bairaagi
Kya
Apna
Kya
Paraya
Kya
Khoya
Kya
Paya,
Are vaar
De jamane pe
Jaan,
Sab moh maya hai....

Anil Aarya...

No comments:

Post a Comment