Thursday, 27 February 2014

Kahin door...

Jee karta hai
Aaj aazaadi, Pa Jane ko,
Tod deh-dhara ke bandhan
Panchtatva mil Jane ko....

Jee karta hai
Chhod sabhi ko
Chal nikalun,
Dam ghut_ta hai is dunia,
Main aaj
Abhi
Is pal nikalun....

Pahunch jaun us jagah
Jahaan meri reet sahi hogi,
Toot jaye chahe khud koi
Dil todne ki reet nahi hogi....

Jamaane walo aao
Apna zor aajmaa lo
Kal mat kahna main hara tha
Apni fauj bula lo....

Ab jana hai door kahin
Is durgam paaraawaar se,
Prabhu jo tum ho, shakti do,
Nikal paaun
moh maya ke vyaapaar se....

Aaj kahin door jana chahta hun,
Apna bhaagya
Fir se aajmana chahta hun.....
Dunia ke bandhan se
Paar pana chahta hun.......
Mujhe na roko
Jamane walo, main bhi
Muskurana chahta hun.....

Anil Aarya...

No comments:

Post a Comment