Ki kal hi jisne
Kiya tha
ikraar-e-Mohabbat
Aaj wo shaksh
Mujhe vajah bata
Raha hai....
Mera dil kitna nakabil
Teri kahani likhi
Ishq ki kitaab main kal
Aaj uska
Ek ek panna
Apne dil ki aag main
Jala raha hai....
Fir bhi fakra tumpar
Shikayat nahi hai
Ki is aag main taapkar
Tu sone ko or
Or kharaa bana raha hai....
Pahchan ka sankat
Utpann nikhil jagat main
Aise main tu
Mujhe khud se
Rubru kara raha hai,
Maut sachi hai
Ek din aani hai,
Tu mujhe us ke intjaar main
Jeena sikha raha hai....
Anil Aarya
No comments:
Post a Comment